Shree Vaishnodevi Chalisa (2)

Mahashakti Ke Roop Teen,

॥ Doha ॥

Mahashakti Ke Roop Teen,
Kiyo Trikut Nivas ॥
Naam Vaishnavi Dhur Kar,
Poori Karti Aas ॥

॥ Chaupai ॥

Jai Jai Vaishnavi Maharani ।
Aadi Shakti Vidit Bhavani ॥
Garud Vahini Jai Jag Mata ।
Jai Jai Jai Bhaktan Sukh Data ॥
Shridhar Bhakt Ko Darshan Diya ।
Nathon Ka Bhandara Kiya ॥
Kutiya Mein Sab Rahe Samani ।
Bhumika Mandir Bani Nishani ॥
Khadya Padarth Manvanchhit Mila ।
Gorakh Nath Ka Man Tab Hila ॥
Mans Madira Bhairon Ne Kaha ।
Vaishnav Bhandra Tha Maha ॥
Bhairon Nath Baanh Pakdan Laga ।
Kanya Ke Jab Pichhe Bhaga ॥
Devi Ho Gayi Antardhyan ।
Nikli Ganga Mar Ke Baan ॥
Charan Paduka Thehri Mata ।
Mahima Amit Jagat Vikhyata ॥
Garbh-Joon Kiya Vishrama ।
Aadi-Kumari Liyo Hai Nama ॥
Trishool Prahaar Kari Gupha Nikali ।
Krodh Kiyo Pragati Tab Kali ॥
Chadhi Trikut Jab Aadi Bhavani ।
Langoor Veer Chalat Agvani ॥
Pahoonch Gupha Lagi Sab Rehne ।
Kali Vaishnavi Saraswati Bahne ॥
Shree Bhairav Tara Jag Tarani ।
Chhinn Bhal Bhav Dukh Nivarani ॥
Pindi Roop Dhara Tum Mata ।
Shradha Se Jo Darshan Ko Aata ॥
Dhawja Nariyal Bhent Chadhata ।
Munh Mangi Murad Hai Pata ॥
Jake Putra Hoye Nahi Bhaai ।
Sau Nar Ya Vidhi Kare Upai ॥
Panch Varsh Jo Path Karawe ।
Narvraton Mein Kanya Jimave ॥
Panch Kanya Ka Poojan Kare ।
Yatha-Shakti Bhent Vo Dhare ॥
Nischay Ho Hi Prasann Bhavani ।
Putra Dehi Ta Kahein Gun Khani ॥
Uncha Mandir Bhavan Hai Tera ।
Beech Pahadon Maa Ka Dera ॥
Jyot Hai Maa Ki Jagmag Jage ।
Sher Sawari Pyari Lage ॥
Tu Hi Vaishnavi, Tu Hi Rudrani ।
Tu Hi Sharda Aroo Brahmani ॥
Durga, Chandi, Kali, Jwala ।
Bhakto Par Tu Sada ॥
Suaa Choli Tere Ang Hai Saje ।
Shish Pe Maa Ke Chhatra Viraje Dayala ॥
Ashtbhuji Varahini Devi ।
Brahma Vishnu Mahesh Se Sevi ॥
Tu Hi Janhvi Aroo Rudrani ।
Hemavati Ambe Nivarni ॥
Naam Tumhare Anant Bhavani ।
Varne Kimi Manush Agyani ॥
Sachcha Maa Darbar Hai Tera ।
Kshma Karo Jo Dosh Ho Mera ॥
Nange Pairon Akbar Aaya ।
Sone Ka Maa, Chhatra Chadhaya ॥
Sharnagat Ho Kirti Bakhani ।
Jai Jai Jai Jagdambe Bhavani ॥
Dhyanu Ne Jab Sis Chadhaya ।
Prasann Hui Tab Mahamaya ॥
Sis Bhent Kathin Thi Badi ।
Swikaar Nariyal Maa Ne Kari ॥
Pari Bhir Santan Par Jab-Jab ।
Maat Sahay Bhai Tum Tab Tab ॥
Shumbh-Nishumbh Daitya Tum Mare ।
Rakt-Bij Shatru Sanhaare ॥
Chand-Mund Daitya Sab Ghane ।
Mahishasur Madhu Kaitabh Hane ॥
Roop Karal Kali Ko Dhare ।
Sainya Sahit Sab Datya Sanhare ॥
Uncha Parvat Bhavan Hai Tera ।
Bhavan Pe Jhanda Lal Sunehra ॥
Ban Ganga Charno Mein Saje ।
Ghanta Dhwani Mandir Mein Baje ॥
Jag Mag Jyot Jage Hai Nyari ।
Namo Vaishnavi Moorat Pyari ॥