Shree Vaishnodevi Chalisa (1)

Mahashakti Ke Roop Teen,

॥ Doha ॥

Mahashakti Ke Roop Teen,
Kiyo Trikut Nivas ॥
Naam Vaishnavi Dhur Kar,
Poori Karti Aas ॥

॥ Chaupai ॥

Sipva Swaroopa Sarva Guni ।
(Meri Maiya) Vaishno Kasht Nidan ॥
Shakti Bhakti Do Ho Hume ।
Divya Shakti Ki Khan ॥
Abhay Dayaini Bhay Mochni ।
Karuna Ki Avtaar ॥
Sankat Trast Bhakton Ka ।
Kar Bhi Do Udhaar ॥
Jai Jai Ambe Jai Jagdambe ॥

Gupha Nivasini Mangla Mata ।
Kala Tumhari Jag Vikhyata ॥
Alpa Bhudi Hum Mud Agyani ।
Gyan Ujiyara Do Maharani ॥
Dukh Sagar Se Hume Nikalo ।
Bhram Ke Bhuton Se Maa Bachalo ॥
Puth Ke Sab Avarodh Hatana ।
Apni Chhaya Mein Maa Chhupana ॥
Jai Jai Ambe Jai Jagdambe ॥
Bhakt Vatsala Bhairav Harini ।
Aadh Ananta Maa Jag Janani ॥
Divya Jyoti Jahan Hoye Ujagar ।
Wahan Uday Ho Dharm Divakar ॥
Paap Nashini Punay Ki Ganga ।
Teri Sudha Se Tarein Kusanga ॥
Amrutmayi Teri Madhukar Vani ।
Har Leti Abhimaan Bhavani ॥
Jai Jai Ambe Jai Jagdambe ॥

Sukhad Samagri Do Bhagatan Ko ।
Karo Phal Dayak Meri Chintan Ko ॥
Dukh Mein Na Vichlit Hone Dena ।
Dheeraj Dharm Na Khone Dena ॥
Utsah Vardhak Kala Tumhari ।
Marg Darshak Bane Hamari ॥
Ghere Kabhi Jo Visham Avastha ।
Tu Hi Sujhana Maa Koi Rasta ॥
Jai Jai Ambe Jai Jagdambe ॥

Bina Dwesh Ke Vishdhar Kaale ।
Jo Sadbhav Ko Dasnewale ॥
Unpar Ankush Sada Lagana ।
Durgun Ko Sadgun Se Mittana ॥
Param Tripti Ka Jal Dena ।
Durbal Kaya Ko Bal Dena ॥
Atmik Shanti Ke Abhilashi ।
Kahte Bana De Drid Vishwasi ॥
Jai Jai Ambe Jai Jagdambe ॥

Basi Ho Tum Shridhar Ke Mann Mein ।
Jyot Tumhari Hai Kan Kan Mein ॥
Hum Abhishek Maa Karein Tumhara ।
Kar Do Maa Udhaar Hamara ॥
Veer Langoor Prahri Tere ।
Bhaje Tumhe Maa Sanj Sawere ॥
Vishwa Vijayi Hai Teri Shakti ।
Bhav Nidhi Tarak Paawan Bhakti ॥
Jai Jai Ambe Jai Jagdambe ॥

Vighan Haran Jag Palan Hari ।
Singh Vahini Maat Pyaari ॥
Krupa Ki Hum Per Drishti Karna ।
Sachche Sukh Ki Vrishti Karna ॥
Yash Gaurav Samaan Badhana ।
Pratibha Ka Suraj Chamakana ॥
Swachh Sarthik Shradha Dena ।
Sharangati Mein Humko Lena ॥
Jai Jai Ambe Jai Jagdambe ॥

Sharda, Lakshmi Aur Mahakali ।
Teeno Ka Sangam Balshali ॥
Rakhna Siron Pe Hath Hamare ।
Sada Hi Rahiyo Saath Hamare ॥
Aapta Vipda Bhav Bhay Harna ।
Durgam Kaaj Sugam Maa Karna ॥
Hey Divya Jyoti Sarva Vyapak ।
Teri Daya Ke Hum Hain Yachak ॥
Jai Jai Ambe Jai Jagdambe ॥

Buddhi Vivek Vidya Dayaini ।
Shakti Tumhari Hai Rasayani ॥
Rog Shok Santaap Ko Harti ।
Durlabh Vastu Sulabh Hai Karti ॥
Jaap Tera Jab Rang Dikhata ।
Bhavnavi Ka Jal Sukh Hai Jata ॥
Ratno Se Ghar Bhar Do Maiya ।
Vish Ko Amrit Kar Do Maiya ॥
Jai Jai Ambe Jai Jagdambe ॥

Bhakti Suman Jo Karte Arpan ।
Dho Dho Unke Mann Ke Darpan ॥
Hey Tribhuvan Ki Sirjan Hari ।
Sada Hi Rakhiyo Laaj Hamari ॥
Sukh Mein Jeevan Ka Var Dena ।
Sakal Manorath Sidh Kar Dena ॥
Himm Parvat Per Rahnewali ।
Karna Aashrit Ki Rakhwali ॥
Jai Jai Ambe Jai Jagdambe ॥

Daityon Ki Sangharak Mata ।
Ambe Kasht Nivarak Mata ॥
Akhil Vishwa Hai Tere Sahare ।
Rom Rom Tera Naam Uchchare ॥
Swamini Ho Uthaan Pathun Ki ।
Trailoki Ke Aavagaman Ki ॥
Hath Daya Ka Sir Per Dharna ।
Hey Mangala Maa Amangal Harna ॥
Jai Jai Ambe Jai Jagdambe ॥