Shree Suryadev Aarti (1)

Om Jai Surya Bhagwan,

Om Jai Surya Bhagwan,
Jai Ho Tinkar Bhagwan ।
Jagat Ke Netra Swaroopa,
Tum Ho Triguna Swaroopa ।
Dharata Sabahi Sab Dhyan,
Om Jai Surya Bhagwan ॥

Sarathi Arun Hai Prabhu Tum ।
Shwet Kamaldhari ।
Tum Char Bhuja Dhari ।
Ashwa Hai Saath Tumharey,
Koti Kirana Pasaarey ।
Tum Ho Dev Mahan ॥
Om Jai Surya Bhagwan…

UshaKaal Mein Jab Tum,
UdayaChal Aatey ।
Sab Tab Darshan Paatey ॥
Phailaatey Ujiaara
jaagta Tab Jag Saara ।
Karey Sab Tab Gungaan ॥
Om Jai Surya Bhagwan…

Bhoochar Jalchar Khecha,
Sab Ke Ho Pran Tumhi ।
Sab Jeevo Ke Pran Tumhi ।
Ved Puraan Bhakhaaney
dharm Sabhi Tumhe Maaney ।
Tum Hi Sarva Shaktimaan ॥
Om Jai Surya Bhagwan…

Pujan Karti Dishayein
pujey dhas dhipal।
Tum Bhuvno Ke Pratipaal ॥
Rituyein Tumhari Daasi,
Tum Shashaka Avinashi ।
Shubhkari Anshumaan ।।
Om Jai Surya Bhagwan…