Shree Sai Baba Aarti (1)

Aarti Utaare Hum Tumhari Sai Baba । Charano Ke Tere Hum Pujari Sai Baba ॥ Vidya Bal Budhhi, Bandu Mata Pita Ho । Tan Man Dhan Pran, Tum Hi Sakha Ho ॥ Hey Jagdata Avtare Sai Baba, Aarti Utaare Hum Tumhari Sai Baba ॥ Bramha Ke Sagun Avtaar Tum Swami । Gyani Dayavaan Prabhu Antaryaami ॥ Sun Lo Vinti Hamari Sai Baba, Aarti Utaare Hum Tumhari Sai Baba ॥ Aadi Ho Anant Trigunaatmak Murti । Sindhu Karuna Ke Ho Udharak Murti ॥ Shirdi Ke Sant Chamatkaari Sai Baba । Aarti Utaare Hum Tumhari Sai Baba ॥ Bhakto Ki Khaatir, Janam Liye Tum । Prem Gyan Satya Sneh, Marm Diye Tum ॥ Dukhiya Jano Ke Hitkaari Sai Baba । Aarti Utaare Hum Tumhari Sai Baba ॥

Other Similar Pages