Shree Durga Aarti (1)

Jai Ambe Gauri Maiya, Jai Shyama Gauri । Tumko Nishdin Dhyavat, Hari Brahma Shivji ॥ Maiya Jai Ambe Gauri ॥ Mang Sindur Birajat, Tiko Mrigmadko । Ujjvalse Dou Naina, Chandravadan Niko ॥ Maiya Jai Ambe Gauri ॥ Kanak Saman Kalevar, Raktambar Raje । Raktapushpa Gal Mala, Kanthhar Par Saje ॥ Maiya Jai Ambe Gauri ॥ Kehari Vahan Rajat, Khadag Khappar Dhari । Sur Nar Munijan Sevat, Tinke Dukhahari ॥ Maiya Jai Ambe Gauri ॥ Kanan Kundal Shobhit, Nasagre Moti । Kotik Chandra Divakar, Samrajat Jyoti, ॥ Maiya Jai Ambe Gauri ॥ Shumbh-Nishumbh Vidare, Mahishasur Ghati । Dhumra-Vilochan Naina, Nishdin Madmati ॥ Maiya Jai Ambe Gauri ॥ Chand Mund Sanhare, Shonitha Beeja Hare । Madhu Kaitav Dou Mare, Surbaiya Haina Karey ॥ Maiya Jai Ambe Gauri ॥ Brahmani, Rudrani, Tum Kamala Rani । Agam-Nigam Bakhani, Tum Shiv Patrani ॥ Maiya Jai Ambe Gauri ॥ Chaunsath Yogini Gavat, Nritya Karat Bhairon । Bajat Tal Mridanga, Aur Bajat Damru ॥ Maiya Jai Ambe Gauri ॥ Tum Ho Jag Ki Mata, Tum Hi Ho Bharata । Bhaktan Ki Dukh Harta, Sukh Sampati Karta ॥ Maiya Jai Ambe Gauri ॥ Bhuja Char Ati Shobhit, Var Mudra Dhari । Manvanchhit Phal Pavat, Sevat Nar Nari ॥ Maiya Jai Ambe Gauri ॥ Kanchan Thal Virajat, Agaru Kapur Bati । Shri Malketu Men Rajat, Kotiratan Jyoti ॥ Maiya Jai Ambe Gauri ॥ Shri Ambe Ji Ki Aarti, Jo Koi Nar Gave । Kehata Shiva Nand Swaami, Sukh Sampati Paave ॥ Maiya Jai Ambe Gauri ॥

Other Similar Pages