Shree Santoshi Chalisa (2)
Jai Yug-Yug Ki Adi Shakti, Jag Men Prachalit Hai Nav Bhakti । Adi, Madhya Aur Avasana, Teri Gati Vidhi Koi Na Jana ॥1॥ Nirmal Shradha Men Khush Hoti, Thode Men Santusht Ho Jati । Kali Men Nam Dharyo Santoshi, Agni Tulya Pratyaksha-Vishekhi ॥2॥ Kala, Gyan, Bal, Vidya, Datri, Tum Sam Saral Sukhadan Hindhatri । Sakal Charachar Tum Se Chalte, Bhut-Pret Yamdut Sinharte ॥3॥ Dushta Dalan Sanhar Karni, Mata Tum Brahmanda Dharini । Sarasvati Lakshmi Aur Kali, Amit Shakti Ki Khan Nirali ॥4॥ Tumhare Sharan Gahe Jo Koi, Mano Kamana Purna Hoi । Tum Ganesh Ki Man Kanya, Tumse Dharti Ho Gai Dhanya ॥5॥ Tumhare Sharan Gahe Jo Koi, Mano Kamana Purna Hoi । Tum Ganesh Ki Man Kanya, Tumse Dharti Ho Gai Dhanya ॥6॥ Sir Par Kanchan Mukut Suhata, Sundar Ratna Sa Muh Dikhata । Madhur-Manohar Mukhda Komal, Pushpamal Aur Shyamal Kuntal ॥7॥ Alankar Sohit Hain Ang Mein, Navya Divya Tan Meru Rang Mein । Sundar Vastra Mein Mala Rakhti, Darshak Ke Man Vash Mein Karti ॥8॥ Ga Trilakh Da Dhare Do Hatha, Chatur Bhuji Ko Tekahu Matha । Sanmukh Amritbhari Surahi, Sath Kamdhenu Manchahi ॥9॥ Svarna Kalash Rahta Hai Age, Bhakton Ke Saubhag Ya Ham Jage । Tumhare Bhaktibhav Jo Pave, Ajar Amar Jag Mein Ho Jave ॥10॥ Namo Namo, Jagtaran Hari, Dukh Daridra Taro Mahtari । Shukravar Din Ati Anukula, Santoshi Vrata Mangalmula ॥11॥ Bahuvidhi Mat Ki Puja Kar, Santoshi Kl Katha Shravan Kar । Gud Aur Chana Prasad Chadhave, Nirhar Ek Jun Manave ॥12॥ Bahuvidhi Mat Ki Puja Kar, Santoshi Kl Katha Shravan Kar । Gud Aur Chana Prasad Chadhave, Nirhar Ek Jun Manave ॥13॥ Shukravar Solah Vrat Rakhe, Udya Pan-Utsah Se Manave । Phir To Ichchha Puran Hoi, Matu Kripa Se Der Na Hoi ॥14॥ Shukravar Solah Vrat Rakhe, Udya Pan-Utsah Se Manave । Phir To Ichchha Puran Hoi, Matu Kripa Se Der Na Hoi ॥15॥ Dhanvivek Sukhshanti Pradayini, Is Yug Ki Navpran Vidhayini । Tum Sam Devi Kou Nahin, Dekh Liya Mein Tribhuvan Mahin ॥16॥ Dukh Ati Pai Bahu Bichari, Pati Viyog Ki Vah Dukhyari । Nariyal-Khopar Pikar Pani, Bhus Ki Roti Khai Abhagini । Santoshi Ka Vrat Jo Kinhin, Pati Sahit Vaibhav Pa Linha ॥17॥ Pida, Chinta Katahu Marta, Ashtsiddhi Navanidhi Ki Data । Santoshi Upvas Kare Jo, Sukh Sampati Ka Bhog Kare Vo ॥18॥ Vahan Vahan Sab Thaur Samai, Tumhari Mahima Kahi Na Jai । Man Vanchhit Var Pavai Kvari, Paye Suhag Sadhva Sannari ॥19॥ Sukh Dhan Jan Sab Manokamna, Purna Hogi Satya Janana । Path Sava Sau Karai Jo Koi, Mitai Kasht Sukh-Sampati Hoi ॥20॥ ॥ Doha ॥ Santoshi Sankat Haran, He Chamatkar Ki Murti । Grah Badha Ko Dur Kar, Karo Kamna Purti ॥