Shree Sai Baba Aarti (2)
Aarti Shri Sai Guruvar Ki । Parmanand Sada Survar Ki ॥ Jaki Kripa Vipul Sukhkari । Dukh, Shok, Sankat, Bhayhari ॥ Shirdi Mein Avtar Rachaya । Chamatkar Se Tatva Dikhaya ॥ Kitne Bhakt Sharan Main Aaye । Ve Sukh-Shanti Nirantar Paye ॥ Bhaav Dhare Jo Mann Me Jaisa । Sai Ka Anubhav Ho Waisa ॥ Guru Ki Udi Lagave Tan Ko । Samadhan Laabhat Uss Mannko ॥ Sai Naam Sadaa Jo Gave । So Phal Jag Me Shashvat Pave ॥ Guruvasar Kari Pooja-Seva । Uss Par Kripa Karat Gurudeva ॥ Ram, Krishna, Hanuman Roop Mein । De Darshan Jaanat Jo Mann Mein ॥ Vividh Dharm Ke Sevak Aate । Darshan Kar Ichchit Phal Pate ॥ Jai Bolo Saibaba Ki । Jai Bolo Avdhootguru Ki ॥ Sai Ki Aarti Jo Koi Gave । Ghar Me Basi Sukh, Mangal Pave ॥ Anantkoti, Brahmandnayak । Rajadhiraj, Yogiraj ॥ Jai Jai Jai Saibaba Ki । Aarti Shri Sai Guruvar Ki ॥